राम को देख कर के जनक नंदिनी लिरिक्स

Ram ko Dekh kar ke janak nandini lyrics

 

राम को देख कर के जनक नंदिनी,

बाग़ में वो खड़ी की खड़ी रह गयी ।

राम देखे सिया को सिया राम को,
चारो अँखिआ लड़ी की लड़ी रह गयी ॥

राम को देख कर के जनक नंदिनी…..

 

यज्ञ रक्षा में जा कर के मुनिवर के संग,
ले धनुष दानवो को लगे काटने ।
एक ही बाण में ताड़का राक्षसी,
गिर जमी पर पड़ी की पड़ी रह गयी ॥
राम को देख कर के जनक नंदिनी…..

राम को मन के मंदिर में अस्थान दे
कर लगी सोचने मन में यह जानकी ।
तोड़ पाएंगे कैसे यह धनुष कुंवर,
मन में चिंता बड़ी की बड़ी रह गयी ॥
राम को देख कर के जनक नंदिनी…..

विश्व के सारे राजा जनकपुर में जब,
शिव धनुष तोड़ पाने में असफल हुए ।
तब श्री राम ने तोडा को दंड को,
सब की आँखे बड़ी की बड़ी रह गयी ॥
राम को देख कर के जनक नंदिनी…….

तीन दिन तक तपस्या की रघुवीर ने,
सिंधु जाने का रास्ता न उनको दिया ।
ले धनुष राम जी ने की जब गर्जना,
उसकी लहरे रुकी की रह गयी ॥
राम को देख कर के जनक नंदिनी……

Ram ko dekh kar ke Janak Nandini Lyrics in Hinglish

 

Ram ko dekh kar ke Janak Nandini,
Baag mein wo khadi ki khadi rah gayi.
Ram dekhe Siya ko, Siya Ram ko,
Chaaron aankhiya ladhi ki ladhi rah gayi.
Ram ko dekh kar ke Janak Nandini…

Yajna raksha mein ja kar ke munivar ke sang,
Le dhanush daanvo ko lage kaatne.
Ek hi baan mein Tadaka Rakshasi,
Gir jami par padi ki padi rah gayi.
Ram ko dekh kar ke Janak Nandini…

Ram ko man ke mandir mein asthaan de,
Kar lagi sochne man mein yeh Janaki.
Tod paayenge kaise yeh dhanush kumvar,
Man mein chinta badi ki badi rah gayi.
Ram ko dekh kar ke Janak Nandini…

Vishw ke sare raja Janakpur mein jab,
Shiv dhanush tod paane mein asafal hue.
Tab Shri Ram ne toda ko dand ko,
Sab ki aankhe badi ki badi rah gayi.

Ram ko dekh kar ke Janak Nandini…
Teen din tak tapasya ki Raghuvir ne,
Sindhu jaane ka rasta na unko diya.
Le dhanush Ram ji ne ki jab garjna,
Uski lahre ruki ki ruki rah gayi.
Ram ko dekh kar ke Janak Nandini…


 

 

Leave a Comment