Ye Dham Bageshwar Ek Teerth

ये धाम बागेश्वर एक तीर्थ -बागेश्वर धाम भजन (Ye Dham Bageshwar Ek Teerth -Bageshwar Dham Bhajan Lyrics Hindi)

 
चमत्कार दिखला रहे,
चला रहे दरबार,
बने हैँ बजरंगी यहाँ,
बागेश्वर सरकार।
 
ये धाम बागेश्वर एक तीर्थ,
धीरेंद्र गुरुवर जहाँ पुजारी,
सरकार बालाजी वीर हनुमत,
करे चमत्कार रोज भारी।
 
दया रात दिन जहाँ बरसती है
धाम में, ऐसी देव हस्ती
वो हाल सारा हमें बताये,
सवाल क्या है वो जान जाए,
बिना ही पूछे लिखें वो पर्ची,
बता रहे हैं दशा हमारी,
सरकार बालाजी वीर हनुमत,
करे चमत्कार रोज भारी।
 
है धाम ये, जग में कुछ निराला,
चलाएं जिसको बजरंगी बाला,
गढा यहां, गांव में जो आते,
फिर इसकी महिमा भी दिल से गाते,
हुए करिश्मे यहां निरंजन,
धीरेंद्र पाए हैं, सिद्धि प्यारी,
सरकार बालाजी वीर हनुमत,
करे चमत्कार रोज भारी।
 
बाबा की ये समाधि,
हरे जो बाधा हरे जो व्याधि,
यहां भजन कीर्तन भी होते,
हनुमान जी तो मगन है होते,
धीरेंद्र जी के, हैं आप दादा,
संयासी बाबा जय हो तुम्हारी,
सरकार बालाजी वीर हनुमत,
करे चमत्कार रोज भारी।
 

Ye Dhaam Bageshwar ek teerth, Dheerendra Guruvaram jahan pujari lyrics in English 

Chamatkaar dikhla rahe,
Chala rahe darbaar,
Bane hain Bajrangi yahan,
Bageshwar sarkaar.
 
 
Ye dhaam Bageshwar ek teerth,
Dheerendra Guruvaram jahan pujari,
Sarkaar Balaaji veer Hanumat,
Kare chamatkaar roz bhaari.
 
 
Daya raat din jahan barsati hai,
Dhaam mein, aisi dev hasti,
Vo haal saara hamein bataye,
Sawaal kya hai vo jaan jaaye,
Bina hi pooche likhein vo parchi,
Bata rahe hain dasha hamaari,
Sarkaar Balaaji veer Hanumat,
Kare chamatkaar roz bhaari.
 
 
Hai dhaam ye, jag mein kuchh niraala,
Chalaayein jisko Bajrangi Baala,
Gadha yahan, gaon mein jo aate,
Phir iski mahima bhi dil se gaate,
Huye karishme yahan Niranjana,
Dheerendra paaye hain, siddhi pyaari,
Sarkaar Balaaji veer Hanumat,
Kare chamatkaar roz bhaari.
 
 
Baba ki ye samaadhi,
Hare jo baadha hare jo vyaadhi,
Yahan bhajan kirtan bhi hote,
Hanuman ji to magn hote,
Dheerendra ji ke, hain aap daada,
Sanyaasi Baba jai ho tumhaari,
Sarkaar Balaaji veer Hanumat,
Kare chamatkaar roz bhaari.

Leave a Comment