Bhola bhang tumhari,Main to ghotat ghotat haari lyrics Manoj tiwari in english
Bhola bhang tumhari,
Main to ghotat ghotat haari,
Teri ek din ki ho ghootu,
Roz na ghoti jaaye.
Main to jab se byah ke aayi,
Bhaag humare foote
Ram kare aisa ho jaaye,
Ye silbatta hi toote,
Roz roz ki akkad teri,
Aur sahi na jaaye,
Teri ek din ki ho ghootu,
Roz na ghoti jaaye.
Bhola bhang tumhari,
Main to ghotat ghotat haari,
Teri ek din ki ho ghootu,
Roz na ghoti jaaye.
(Bholenath Mata Parvati ko samjhaate hue)
un Ganpati ki mahatari,
um ghonto bhang humari,
Bin bhang raha nahin jaaye,
Gauran tumko chhod doon lekin,
Bhang na chhodi jaaye
(Jab Gaura Maa nahi maanati to)
Krodh mein eke Shiv Shankar mein khola apna jhola,
Ek taraf se chilam nikli, aur ek bhang ka gola,
Haan gola,
Gaura ji ko dikha dikha ke bhola bhog lagaaye,
Gaura ji ko dikha dikha ke bhola bhog lagaaye,
Gaura tumko chhod doon lekin,
Bhang na chhodi jaaye.
Sun Ganpati ki mahatari,
Tum ghonto bhang humari,
Bin bhang raha nahin jaaye,
Gauran tumko chhod doon lekin,
(last mein Gaura Maa ne kaha,)
Shiv Shankar se kahe bhagwati,
Teri gati hai nyari,
Shiv Shankar se kahe bhagwati,
Teri gati hai nyari,
Jee bhar gola piyo bhang ka,
Tum jeete main haari,
Haan haari, haan haari.
Sun Ganpati ki mahatari,
Tum ghonto bhang humari.
un Ganpati ki mahatari,
Tum ghonto bhang humari.